« दिल तुझको याद करता है ( 2 ) | Roaring Clouds.. » |
Yudh!!
Hindi Poetry |
Yudh!!
Raqt ki nadi bahe jo , maut veer ki mile, kya yahi asli yudh ka praman hai
Jitney ki odh hai, kabhi na aas chode hai, kya vahin hai asli veer jo mahan hai
Talwaron ke war se, banon ke prahar se, hua ye raqteela aasman hai,
Astra shashtra jo chale, bramhastr jo chale, yahin kya asli vidhi ka vidhan hai
Karm dharm bhulke, pap punya bhulke, har sharir ko apne shastra ka nishan de
Mrutako ke sharer par, khada tu seena tan ke, yahi kya teri aan ban shan hai.
Kya ye ras hai, ki jiski chalti sans hai, har koi yudh me apni jaan de,
Dhara se aasman tak, ek lambi si udan bhar, yahan teri jindgi veeran hai.
Yahi mulya hai, ki tere pran amulya hai, ye hi such, baki juth jaan le
Yudh!! ko tu bhul jaa, ranbhumi ko tu bhul jaa, bas jindgi ko jine ka samman de.
अच्छी रचना है , लिखते रहिए
@THE LAST HINDU, protsahan ke liye dhanyawad
Swapnil,
बधाई, सुन्दर मनभावन वैचारिक रचना,
“बस जिन्दगी को जीने का सम्मान दे .” बहुत खूब
Poem not easy to read because of roman script
Hearty welcome to you at p4poetry
Please do try post Hindi poems in Devnagarii script
Also do tell us something more about yourself in profile
@Vishvnand, Vishwanandji aapka bahot bahot dhanyawad. Hamare vyaktitwa ko shabdo me utarna bada hi jatil kam hai par main koshish karunga ki apne bare me kuch likhun, .
Brilliant Swapnil!!! this Is one of the Best creation Of yours<< i hope there are still More to come
@rakesh anjaana, Thanks for the appreciation. I have just started writting poems & I am liking it. Hence, definately there are more to come.
wow! swapnil, ur quotes r awsome man… m pretty impressed.. ap kafi chintan karne wale prani lagte h n i think i really appreciate dt.. ol d bst wd ur dream.. 🙂
Thank you Sneha. I read your comment four years late. 🙂
hey, ur poem z brilliant too.. n i think in second line z that word- होड़ ??
cz i ddnt gt it.. cn u please enlighten me as to wt dt word z if not hod?